soch lije kaf-e-afsos bhi mal sakte hain

soch lije kaf-e-afsos bhi mal sakte hain
aap chalne ko mere sath mein chal sakte hain

jada-e-ishq pe chalna hai to phir der na kar
sochne se tere jazbaat badal sakte hain

shiddat-e-pyas ke ehsas ko badhne dije
ediyon se kabhi chashme bhi ubal sakte hain

ek to waise hi udasi ki ghata chhai hai
aur chhedoge to aansu bhi nikal sakte hain

aap mazlum ke ashkon se na khilwad karen
ye wo dariya hain jo shahron ko nigal sakte hain

apni yaadon ko mere pas na aane dije
warna soe hue arman machal sakte hain

aap aise nazar-andaz hamein mat kije
khote sikke kabhi bazar mein chal sakte hain

jin ko diwana samajhte hain ye duniya wale
zid pe aaen to ye taqdir badal sakte hain

raushni ke liye 'mukhtar' jalae the charagh
kya khabar thi ki mere hath bhi jal sakte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close