soch mein duba hua hun kuchh kahin pe rah gaya zindagi ka faisla tha bas nahin pe rah gaya un ki mahfil se utha laya hun aankhen to magar yaad ab aaya ki mera dil wahin pe rah gaya main jo apne sath laya tha wo mere sath hai nam hi tum ne diya tha so zamin pe rah gaya ye hai tera ye hai mera bas yahi karte rahe aur is mein jo kamaya sab yahin pe rah gaya main bhi aakhir thak chuka tha jodte hi jodte aur dil tuta hua hi dil-nashin pe rah gaya