socha ki wa ho sabz daricha jo band tha

socha ki wa ho sabz daricha jo band tha
pilahaton ka chehra bahut fikrmand tha

har sans thukti thi lahu zard rang ka
har shakhs us gali ka aziyyat-pasand tha

mithe tabassumon ko liye sab se baat ki
khud se kiya kalam to lab zahr-qand tha

bauna tha wo zarur magar is ke bawajud
kirdar ke lihaz se qad ka buland tha

main ne fasil-e-shab ko muqaddar nahin kiya
tira-shabi mein ghir ke bhi dil arjumand tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close