socha tha tumne dirham-o-dinar denge log

socha tha tum ne dirham-o-dinar denge log
sar kat denge phir tumhein dastar denge log

iflas-o-tang-dasti ka eajaz ye bhi hai
mangoge gar qalam tumhein hathiyar denge log

pahle-pahal to wasl ki lazzat milegi aur
phir umr bhar ko hijr ka aazar denge log

mujrim riha hue hain to masum qaid hain
kis ko khabar thi aisi bhi sarkar denge log

sach bolna hai jurm ye taslim hai magar
ek jurm ki saza mujhe sau bar denge log

bolun agar main jhut to mar jaega zamir
kah dun agar main sach to mujhe mar denge log

main hi karunga shahr ki mitti ko surakh-ru
mere hi khun se chhap ke akhbar denge log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close