sochiye hum se taghaful bhi baja hai ki nahin ki yahi maqsad-e-arbab-e-fana hai ki nahin zist mein lamha-e-andoh-jafa hai ki nahin ai mohabbat koi teri bhi khata hai ki nahin past kar dete hain maujon ko ubharne wale dubna khud na ubharne ki saza hai ki nahin chhanw mein phulon ki aankhen to michi jati hain kaun dekhe ye chaman jag chuka hai ki nahin han mere ishq ne soche the bade hangame tu ne chhup chhup ke sahaara bhi diya hai ki nahin kya ghalat ishq ko hai jurm-e-wafa ka iqrar husn par zahmat-e-bedad-o-jafa hai ki nahin tujh ko bedari-e-gulshan ki qasam hai ki bahaar zehn-e-insan bhi kahin jag raha hai ki nahin sab hain shahid ke bhulane ka bahana kar ke main ne har waqt tera nam liya hai ki nahin kis ko jine se hai fursat jo ye soche ki mujhe koi kaam aur bhi jine ke siwa hai ki nahin shukriya aap ke ehsas-e-jafa ka lekin ye karam fitna-e-aghaz-e-jafa hai ki nahin hai abhi faisla baqi ki dilon par ab tak aap se koi sitam ho bhi saka hai ki nahin raaz phulon pe bahaaron ka karam hai lekin yun bhi kaliyon ka jigar chaak hua hai ki nahin