sochiye ye sochna bhi kam nahin zindagi mein aaj koi gham nahin hai safha mahfuz dil ka is qadar ye kisi barish se hota nam nahin kash aate baadalon ke sang tum bha raha barsat ka mausam nahin aankh teri khushk hai kya aasman raat patton pe giri shabnam nahin 'sarw' aise ghaw kyon hum ko diye jin ke bharne ka koi marham nahin