sochon ki gahri jhil mein utra hua hun main puchho na kis khayal mein duba hua hun main kab tak mere wajud ki dhundoge kirchiyan shishe ki tarah tut ke bikhra hua hun main pursish zarur hogi ye maidan-e-hashr mein mazi ko soch soch ke sahma hua hun main kya puchhte ho mujh se dil-e-muzmahil ka haal rang-e-khayal-e-yar se bahla hua hun main be-nam manzilon ka pata kis se puchhiye 'ashraf' ye kaisi rah mein khoya hua hun main