sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main apne gum-gashta kinaron ke liye bahta hun main besh-qimat hun meri qimat laga sakta hai kaun tere kuche mein bikun to phir bahut sasta hun main khwab jo dekhe the main ne wo bhi ab dhundla gae ab to tum aa jao sahab ab bahut tanha hun main jal gaya sara badan in mausamon ki aag mein ek mausam ruh hai jis mein ki ab zinda hun main mere honton ka tabassum de gaya dhoka tujhe tu ne mujh ko bagh jaana dekh le sahra hun main main to yaro aap apni jaan ka dushman hua zahr ban ke aap apni ruh mein utra hun main dekhne meri pazirai ko ab aata hai kaun lamha bhar ko waqt ki dahliz par aaya hun main tu ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diya tu palat kar dekh le to aaj bhi hira hun main lafz gunge hain inhen goyai dene ke liye zindagi ke sachche lamhon mein ghazal kahta hun main