soe hue jazbon ko jagana hi nahin tha ai dil wo mohabbat ka zamana hi nahin tha mahke the charagh aur dahak utthi thin kaliyan go sab ko khabar thi use aana hi nahin tha diwar pe wadon ki amar-bel chadha di rukhsat ke liye aur bahana hi nahin tha udti hui chingariyan sone nahin detin ruthe hue is khat ko jalana hi nahin tha ninden bhi nazar band hain tabir bhi qaidi zindan mein koi khwab sunana hi nahin tha pani to hai kam naql-e-makani hai zyaada ye shahr sarabon mein basana hi nahin tha