sona tha jitna ahd-e-jawani mein so liye

sona tha jitna ahd-e-jawani mein so liye
ab dhup sar pe aa gai hai aankh kholiye

yaad aa gaya jo apna gareban bahaar mein
daman se munh lapet liya aur ro liye

ab aur kya karen tere tark-e-sitam ke baad
khud apne dil mein aap hi nashtar chubho liye

parwana-e-rihai-e-khama to mil gaya
lekin huzur ab dar-e-zindan bhi kholiye

apne liye tayyun-e-manzil koi nahin
jo bhid jis taraf ko chali sath ho liye

thi nagawar-e-taba tujhe sadgi-e-ishq
le aaj hum ne palkon mein moti piro liye

har ek ba-zom-e-khwesh jahan ho sukhan-shanas
behtar ye hai 'saba' ki wahan kuchh na boliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close