sone ke lab chandi ke chehron mein jade hain un se baat na karna tum ye log bade hain tufanon mein chalna to mushkil hai lekin ye himmat bhi kya kam hai kuchh log khade hain ye ab kya dhund rahe ho in khali aankhon mein ye goshe to barson se viran pade hain kaisi kaisi anhoni baaten hoti hain kaise kaise duniya ne ilzam gadhe hain mez kitaben kamra khat taswir risale hum kya chup hain sab ke sab khamosh pade hain 'nur' unhen bhi izn mile kuchh aazadi ka jo sadiyon se jismon ke jangal mein pade hain