sone ki koshishen to bahut ki gain magar kya kijiye jo nind se jhagda ho raat bhar main ne khud apna saya hi banhon mein bhar liya us ka khumar chhaya tha mujh pe kuchh is qadar aankhon mein chand khwab the aur dil mein kuchh umid jalta raha main aag ki manind umr bhar kyon koi us pe dale nazar ehtiram ki kahlae ilm-o-fan mein jo yakta na mo'atabar pal mein tamam ho gaya qissa hayat ka us ki nigah mujh pe rahi itni mukhtasar dushwariyon se zindagi aasan hui meri dushwariyon ka khauf gaya zehn se utar hum ne sukhan mein koi izafa nahin kiya gesu ghazal ke sirf sanware hain umr bhar ilm-o-hunar mile hain magar tere samne pahle bhi be-hunar the 'aman' ab bhi be-hunar