sote hain wo aaina le kar khwabon mein baal banate hain sada se parinde ki khatir kya reshmi jal banate hain ummid ki sukhti shakhon se sare patte jhad jaenge is khauf se apni taswiren hum sal-ba-sal banate hain zakhmon ko chhupane ki khatir kapde hi badalna chhod diya puchho to sahi hum kis ke liye apna ye haal banate hain wo bolti aankhen milte hi jhuk jati hain khamoshi se hum un ke jawab se phir apna ek aur sawal banate hain