soz-e-dil ka zikr apne munh pe jab late hain hum shama san apni zaban se aap jal jate hain hum dam-ba-dam us shokh ke aazurda ho jaane se aah jab nahin kuchh apna bas chalta to ghabraate hain hum baithne ko to nahin aae hain yan ai baghban kyun khafa hota hai itna hum se tu jate hain hum dil se hum chhut jaen ya dil hum se chhut jawe kahin is ke aljhede se ab to sakht uktate hain hum dil khuda jaane kidhar gum ho gaya ai dostan dhundhte phirte hain kab se aur nahin pate hain hum donon diwane hain kya samjhenge aapas mein abas hum ko samjhata hai dil aur dil ko samjhate hain hum yaad mein us gul-badan ki aaj-kal tu ai 'hasan' bagh mein phir phir ke apne dil ko bahlate hain hum