soz-e-gham chiz hai kya kuchh hamein malum to ho ye maraz hai ki dawa kuchh hamein malum to ho roz-o-shab hoti rahe taza qayamat barpa zindagani ka maza kuchh hamein malum to ho hum bhi parwana-mizaji ka dikhaen aalam qimat-o-qadr-e-wafa kuchh hamein malum to ho phir laga lenge kabhi chand sitaron ka suragh pahle khud apna pata kuchh hamein malum to ho aap ke lutf se mahrum jo hum rahte hain kis khata ki hai saza kuchh hamein malum to ho dil ki dhadkan na sahi aap ki aahat hi sahi saz-e-hasti ki sada kuchh hamein malum to ho jaan-o-dil hum bhi karen nazr-e-mohabbat 'mansha' itni mehnat ka sila kuchh hamein malum to ho