soz-o-gudaz-e-ishq ka charcha na kar sake husn-e-sitam-zarif ko ruswa na kar sake wo zakhm chahta hun main ai husn-e-dil-fareb jis ko teri nigah bhi achchha na kar sake jab yaad aa gaya hamein afsana-e-azal gham-ha-e-rozgar ka shikwa na kar sake utthi nigah-e-shauq to pathra ke rah gai is jalwa-e-hasin ka nazara na kar sake saqi teri nigah ka andaz dekh kar mai-kash ba-qadr-e-zarf taqaza na kar sake khud e'tiraf-e-jurm kiya hum ne ai 'mushir' lekin shikast-e-husn gawara na kar sake