su-e-manzil koi karwan lut gaya kis ki ummid ka ye jahan lut gaya tu ne uf tak na ki dekhta rah gaya tere kuche mein ek karwan lut gaya koi hasrat na gulchin ke dil mein rahi phul murjha gae gulistan lut gaya tum to hushiyar the kyun hue be-khabar dil to nadan tha na-gahan lut gaya koi aae madad ke liye ab meri gul-rukhan lut gaya mah-washan lut gaya hai shikayat tujhi se mere mehrban pesh darban tera mehman lut gaya shaikh bhi kitna 'shadan' bala-nosh tha baaton baaton mein pir-e-mughan lut gaya