su-e-manzil na jo rawan honge surat-e-gard-e-karwan honge lab agar khugare-fughan honge dagh-e-dil aur bhi ayan honge do-ghadi hans ke baat kar hum se phir khuda jaane hum kahan honge gulsitan mein bahaar aane de dali-dali pe aashiyan honge aah wo fasle jo qurb pe bhi mere aur un ke darmiyan honge husn jab tak na jalwa-gar hoga donon aalam dhuan-dhuan honge chhid gaya phir tere shabab ka zikr dil ke arman phir jawan honge aap kahte hain hain to yaqin hai mujhe aap bhi mere qadr-dan honge hum na honge magar hamare baad ashk is aankh se rawan honge wajh-e-barbaadi-e-dil-e-'rifat' aap jaise hi qadr-dan honge