subh ko aae ho nikle sham ke

subh ko aae ho nikle sham ke
jao bhi ab tum mere kis kaam ke

hatha-pai se yahi matlab bhi tha
koi munh chume kalai tham ke

tum agar chaho to kuchh mushkil nahin
dhang sau hain nama-o-paigham ke

chhed waiz har ghadi achchhi nahin
rind bhi hain ek apne nam ke

qahr dhaegi asiron ki tadap
aur bhi uljhenge halqe dam ke

mohtasib chun lene de ek ek mujhe
dil ke tukde hain ye tukde jam ke

lakhon dhadke ibtida-e-ishq mein
dhyan hain aaghaz mein anjam ke

mai ka fatwa to sahi qazi se lun
tok kar raste mein daman tham ke

dur daur-e-mohtasib hai aaj-kal
ab kahan wo daur-daure jam ke

nam jab us ka zaban par aa gaya
rah gaya naseh kaleja tham ke

dur se nale mere sun kar kaha
aa gae dushman mere aaram ke

hae wo ab pyar ki baaten kahan
ab to lale hain mujhe dushnam ke

wo lagaen qahqahe sun kar 'hafiz'
aap nale kijiye dil tham ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close