subh to dekha tha waqt-e-sham aa kar dekhiye

subh to dekha tha waqt-e-sham aa kar dekhiye
apne diwane ka ab anjam aa kar dekhiye

kuchh nahin malum hai kis waqt ye dam tod de
haalat-e-bimar subh-o-sham aa kar dekhiye

lab pe aahen dil mein dhadkan timtimata ek charagh
kis qadar rangin hai meri sham aa kar dekhiye

naz se wo kah rahe hain rukh pe zulfen dal kar
subh pe chhai hui hai sham aa kar dekhiye

aap ki furqat mein khata hai jahan ki thokaren
bekasi-e-ashiq-e-nakaam aa kar dekhiye

dam-ba-dam ye bah raha hai kis ki aankhon se lahu
kaun hai ye larza-bar-andam aa kar dekhiye

jhilmilate hain hazaron aarzuon ke charagh
'jafari' ki qabr waqt-e-sham aa kar dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close