suKHan suKHan jo kisi karb se ibarat tha

sukhan sukhan jo kisi karb se ibarat tha
main lafz lafz khud apni hi to hikayat tha

khyal-e-wahm ki surat bhi kya haqiqat tha
wo dur dur tha to kitna khub-surat tha

har ek ba-nam-e-mohabbat khulus ki khatir
har ek dusre ke waste musibat tha

wajud-e-lafz-o-mani sukun-e-jaan kahiye
khud apni zat mein har harf ek aziyyat tha

lapakte shoalon mein jalte rahe khutut magar
ek ek harf pukara hai main mohabbat tha

use daraazi-e-qad par bahut ghurur hua
suna hai us mein bhi pahlu husul-e-shohrat tha

hazar us se khafa hon bura kahen lekin
'shamim' shakhs tha kya khub dam ghanimat tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close