suKHan suKHan mein wo ramz-ashna dikhai di

sukhan sukhan mein wo ramz-ashna dikhai di
zanan-e-shahr mein sab se juda dikhai di

guzar aae wo har lamha shab-parasti mein
sahar ki raushni mujh se khafa dikhai di

main us se dil ki koi baat bhi chhupa na saka
wo ajnabi thi magar aashna dikhai di

mere guman mein na tha jism-o-jaan bhi waregi
jahan kahin mili be-e'tina dikhai di

kise khabar thi wo aaseb-gah niklegi
ghubar-e-mah mein dur ek sara dikhai di

mizaj-pursi kuja aankh bhi mila na saka
akeli sadkon pe wo barha dikhai di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close