suKHanwari ka ye fan jo nibhana sikh gaya

sukhanwari ka ye fan jo nibhana sikh gaya
main apne dard ko darman banana sikh gaya

hazar tarah sikhaya gaya magar afsos
samajh bhi paya na wo aur zamana sikh gaya

har imtihan mein wo kaamyab hota hai
khud apne aap ko jo aazmana sikh gaya

ye bar bar ka israr mujh ko le duba
wo tang aa ke bahane banana sikh gaya

kahan ubharna kahan dubna hai 'auj' mujhe
main bahr-e-ishq mein ghote lagana sikh gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close