sukun-e-dil to kahan rahat-e-nazar bhi nahin ye kaisi bazm hai jis mein tera guzar bhi nahin bhatak raha hai zamana ghane andhere mein wo raat hai jise andesha-e-sahar bhi nahin na jaane kaun si manzil ko le chale hum ko wo ham-safar jo haqiqat mein ham-safar bhi nahin teri nigah ka dil ko yaqin sa hai warna suni hai baat kuchh aisi ki mo'atabar bhi nahin