sukun-e-qalb gaya ruh ka qarar gaya

sukun-e-qalb gaya ruh ka qarar gaya
wo kya gae ki zamane ka eatibar gaya

tumhaare nam pe ro lena aah bhar lena
dhali jo umr to jazbon ka sab khumar gaya

main dafatan laraz uthta hun jab ye sochta hun
ki umr kaise tere hijr mein guzar gaya

ye irtiqa-e-zamana ki daur-e-pasti hai
ki jis mein pyar wafa sab ka eatibar gaya

ye kis ne aaina-e-zist ko jila bakhshi
ye kaun kakul-e-hasti ko phir sanwar gaya

shikast ishq mein hoti to darguzar karta
main bad-nasib magar dosti mein haar gaya

kisi se jab bhi kisi ki jafa ka zikr suna
mera khayal teri samt bar bar gaya

bisat-e-ishq ki chaalen 'salim' thin hi ajib
jo jitta nazar aaya wo khud ko haar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close