sukun luTta rahega faza hi aisi hai

sukun lutta rahega faza hi aisi hai
hamare shahr ki aab-o-hawa hi aisi hai

kabhi na aaegi honton par ab hansi ki tarah
wo ek baat ki jis ki ada hi aisi hai

dahakti dhup mein sawan ki tarah rahta hun
mere buzurg ke lab ki dua hi aisi hai

kisi ke husn-e-samaat pe thes kyon na lage
kisi ke honton pe ab ke sada hi aisi hai

sulagti aag mein shabnam ki kaifiyat paun
mere gunah ki yaro saza hi aisi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close