sukun nahin hai mohabbat mein baat baat ke baad

sukun nahin hai mohabbat mein baat baat ke baad
wo kis libas mein aate hain iltifat ke baad

na rukh pe ghaza-e-gulgun na mang mein tare
jamal-e-sadgi-e-husn hai sifat ke baad

ajab nahin mujhe mil jae munsif-e-mansur
labon tak aa ke ruki hai us ek baat ke baad

farogh-e-jam se ek subh-e-mustaqil mango
sahar mile na agar mai-kade mein raat ke baad

kali ko dekh ke sarshaar khwab kya guzri
nasim-e-subh jagane jo aai raat ke baad

dar-e-shabistan pe 'mani' kisi ne dastak di
hayat le ke faraez wo aai raat ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close