sukun-parwar nigahon ke sahaare chhin leti hai

sukun-parwar nigahon ke sahaare chhin leti hai
sunami jab bhi aati hai kinare chhin leti hai

hansi bhi chhin leti hai khushi bhi chhin jati hai
bigad jati hai qismat to sitare chhin leti hai

musibat jab bhi aati hai to aansu le ke aati hai
labon se muskurahat ke nazare chhin leti hai

koi hota nahin hai puchhne wala ye qismat to
gharibon mein hamare sab sahaare chhin leti hai

widaa ho kar chali jati hain jab bhi betiyan ghar se
to phir man bap ki aankhon ke tare chhin leti hai

pita ko naz tha jis par wahi aulad phir ek din
yaqin bhi tod deti hai sahaare chhin leti hai

bahaaren jab kabhi gulshan se apne ruth jati hain
sabhi gulshan se wo rangin nazare chhin leti hai

muqaddar ko bigadte der lagti hi nahin 'indori'
kisi ki bad-duaen sab bahaaren chhin leti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close