sukut-e-shab ke hathon saunp kar wapas bulata hai meri aawargi ko mera ghar wapas bulata hai main jab bhi daeron ko tod kar bahar nikalta hun hawa ke na-tawan jhonke ka dar wapas bulata hai usi ke hukm par us ko main tanha chhod aaya tha khuda jaane mujhe wo kyun magar wapas bulata hai ishaare kar raha hai duriyon ka khaulta sagar mujhe har sham ek andha safar wapas bulata hai wo jin ki hijraton ke aaj bhi kuchh dagh raushan hain unhi bichhde parindon ko shajar wapas bulata hai sulagti saaton ka khauf ab kamzor hai shayad wahi sahma hua dast-e-hunar wapas bulata hai