sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jao bada udas saman hai qarib aa jao na tum ko khud pe bharosa na hum ko zom-e-wafa na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jao rah-e-talab mein kisi ko kisi ka dhyan nahin hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jao jo dasht-e-ishq mein bichhde wo umr bhar na mile yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jao ye aandhiyan hain to shahr-e-wafa ki khair nahin zamana khak-fishan hai qarib aa jao faqih-e-shahr ki majlis nahin ki dur raho ye bazm-e-pir-e-mughan hai qarib aa jao 'faraaz' dur ke suraj ghurub samjhe gae ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jao