sulag uthe mere mausam ye kya kiya tu ne gulon pe jal gai shabnam ye kya kiya tu ne zamin nahin hai faqat sogwar is gham ki falak pe chha gaya matam ye kya kiya tu ne nayan to sukh gae dard ki tapish pa kar nazar se risne laga gham ye kya kiya tu ne raha na yaad tere baad koi is dil ko ki sab ko bhul gae hum ye kya kiya tu ne ghata raha tha tujhe apni zat se lekin main khud bhi hone laga kam ye kya kiya tu ne phir is ke baad kabhi aaine ke aage bhi nazar utha sake na hum ye kya kiya tu ne wo shakhs chahta tha umr bhar rahe mujh mein jo mujh mein tod gaya dam ye kya kiya tu ne meri hayat meri zat meri ummiden sisakti rahti hain paiham ye kya kiya tu ne