sulagti ret pe chalna paDe KHuda na kare

sulagti ret pe chalna pade khuda na kare
meri tarah tujhe qismat barahna-pa na kare

phir is ke baad meri zindagi wafa na kare
main tujh ko bhul ke zinda rahun khuda na kare

ek ek pal hai aziyyat nafas nafas hai azab
jo mujh ko dekh le jine ka hausla na kare

jise majal-e-takallum na ho wo chup baithe
badon ki baat sune koi tabsira na kare

chhue baghair charaghon ko wo guzar jae
hawa se koi bhi aisa mutalba na kare

ye nasl lafz-e-mohabbat se aashna hi nahin
koi kisi se bhi tahzib ka gila na kare

khabar ye hai ki udhar chal rahi hai garm hawa
koi parinda bhi hijrat ka faisla na kare

suluk jis ka ho sab ke liye shajar jaisa
kisi bhi umr mein bachchon ka aasra na kare

ye mashwara hai mera 'ramz' e'tiraaz nahin
parai aag bujhane mein khud jala na kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close