sun! hijr aur visal ka jadu kahan gaya main to kahin nahin tha magar tu kahan gaya jab khema-e-khayal mein taswir hai wahi wo dasht-e-na-murad wo aahu kahan gaya bistar pe gir rahi hai siyah aasman se rakh wo chandni kahan hai wo mah-ru kahan gaya jis ke baghair ji nahin sakte the ja chuka par dil se dard aankh se aansu kahan gaya phir khak ud rahi hai makan-e-wajud mein ai jaan-e-be-qarar wo dil-ju kahan gaya