sun kar main jurm chup tha gunahgar ki tarah luknat zaban mein aa gai mai-khwar ki tarah wo kaisi subh thi ki tulu-e-sahar ke baad suraj ka chehra lagta tha bimar ki tarah han us ki dastan bahut dil-kharash thi khamosh tha jo saya-e-diwar ki tarah rukne ka nam bhi nahin lete the wo kabhi ahl-e-junun the waqt ki raftar ki tarah maqtal se tegh dar-o-rasan se salib se mujh ko hai pyar kucha-e-dildar ki tarah hum tira-bakht aap hi kahiye kahan se laen shaukat jalal shan wo sarkar ki tarah upar se dekhne mein hain manind-e-koh hum andar se ek ret ki diwar ki tarah ai rabb-e-zul-jalal aman paun to kahun ye umr kat gai kisi nadar ki tarah