sun meri dastan hairat mein hai zamin aasman hairat mein ek tahayyur hai chaar su mere rok di hai udan hairat mein aag hai phailti hi jati hai hain makin aur makan hairat mein ain manzil pe la ke chhod diya ab talak hun main jaan hairat mein yani mahfuz hun khuda shahid tir shashdar kaman hairat mein ab wafa ki khapat nahin koi band kar di dukan hairat mein shor karti hai aankh pagal si dekhti hai zaban hairat mein