sun rahe hain koi tara sair karta aaega jaane kya paigham dharti ke liye wo laega phul ek din khwahishon ka dhup mein kumhlaega pattiyan bikhrengi us ki bij hi rah jaega bant kar aaega sab kuchh shahr ke bazar mein har mahine khali jeben ghar ko wo dikhlaega tu hawaon sa guzar daman bacha kar rah se phul ka to kaam hai hans hans ke wo bahkaega tukde tukde honge suraj aur sitare har taraf kar ke tandau show sabhi brhamand ko bikhraega us ke ghusse se bagule uth rahen hain dhup mein garm dil sahra jo bola aag hi barsaega ek hi chubhta sa kanta un ki parton mein nahin phul si baaten hain us ki sab ko hi mahkaega