sun rakha tha tajraba lekin ye pahla tha mera jab kisi ke nam par be-wajh dil dhadka mera ek uchatti si nazar us par gai aur yun laga kho gaya jaise kahin harf-e-tamanna sa mera ishq mein main bhi bahut mohtat tha sab jhut hai aur ye sabit kar gaya kal raat ka rona mera ek harf-e-haq ki ta-nok-e-zaban aamad magar maslahat khamoshi aur aamanna-saddaqna mera apne mehwar par zamin aae to lamha bhar sahi der se khali pada hai khaka-e-duniya mera