sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha duniya ye buri hai ye zamana nahin achchha sab lut liya ek nazar dekh ke mujh ko ai duzd-e-nigah dil ka churana nahin achchha kyun jhenpte ho ghairon mein han phir to kaho wo gali hi to thi baat banana nahin achchha uryan-badani par na hababon ki pade aankh dariya mein meri jaan nahana nahin achchha afsos ki surat na banao na rulao dil pista hai honton ka chabana nahin achchha rote hain hansate ho bhari bazm mein sahab chup baithe raho dhyan batana nahin achchha kuche se chale jaiye 'akhtar' kahin ab aur mazmun bahut ishq ka chhana nahin achchha