suna aangan nind mein aise chaunk uTha hai

suna aangan nind mein aise chaunk utha hai
sote mein bhi jaise koi siski leta hai

ghar mein to is mahaul ka main aadi hun lekin
bazaron ki virani se dam ghutta hai

muddat se main soch raha tha ab samjha hun
jeb aur aankh ke khali-pan mein kya rishta hai

itne log mujhe rukhsat karne aae hain
ghar wapas jaana bhi tamasha sa lagta hai

log to apni jaanib se kuchh jod hi lenge
itni adhuri baaten hain wo kyun karta hai

apni kya in raston ke bare mein sochun
un ka safar to meri umr se bhi lamba hai

us ki aankhon se ojhal mat hona 'shaariq'
pichha karne wala bahut tanha hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close