suna di kis ne rudad-e-gham-e-dil kohsaron ko main akasr sochta hun dekh kar in aabshaaron ko gae mausam ka ek pila sa patta shakh par rah kar na jaane kya batana chahta hai in bahaaron ko chale aao na rokega ghubar-e-rah ab tum ko ki pur-nam kar diya ashkon se main ne rahguzaron ko samajh pae hain in ko aur na samjhenge khirad wale dil-e-ashiq samajh leta hai jin mubham ishaaron ko khabar-name ki surkhi mein unhin ka zikr tha 'nazim' batae the jo main ne raaz apne raaz-daron ko