suna hai chup ki bhi koi pukar hoti hai

suna hai chup ki bhi koi pukar hoti hai
ye bad-gumani mujhe bar bar hoti hai

khayal-o-khwab ki duniya sarab ki duniya
nazar faqir ki parde ke par hoti hai

azab-e-dida koi rang sinchte kaise
khizan-gazidgi aashufta-bar hoti hai

main apne hisse ke manzar ujalne se raha
ye aagahi to bahut dil-figar hoti hai

umid hi se zamane mein shad-kaami hai
yahi wo shakh hai jo saya-dar hoti hai

ye raat matami malbus hi mein jachti thi
ye raat hi to hamein pursa-dar hoti hai

main ji raha hun to jine ka hausla dekho
ye zakhm-koshi taghaful-shiar hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close