suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka hua na gor gadha un sitam ke maron ka hazar rang khile gul chaman ke hain shahid ki rozgar ke sar khun hai hazaron ka mila hai khak mein kis kis tarah ka aalam yan nikal ke shahr se tak sair kar mazaron ka araq-fishani se us zulf ki hirasan hun bhala nahin hai bahut tutna bhi taron ka ilaj karte hain sauda-e-ishq ka mere khalal-pazir hua hai dimagh yaron ka teri hi zulf ko mahshar mein hum dikha denge jo koi mangega nama siyahkaron ka kharash-e-sina-e-ashiq bhi dil ko lag jae ajab tarah ka hai firqa ye dil-figaron ka nigah-e-mast ke mare teri kharab hain shokh na thor hai na thikana hai hoshyaron ka karen hain dawa khush-chashmi-e-ahuwan-e-dast tak ek dekhne chal malak un ganwaron ka tadap ke marne se dil ke ki maghfirat ho use jahan mein kuchh to raha nam be-qararon ka tadap ke khirman-e-gul par kabhi gir ai bijli jalana kiya hai mere aashiyan ke kharon ka tumhein to zohd-o-wara par bahut hai apne ghurur khuda hai shaikh-ji hum bhi gunahgaron ka uthe hai gard ki ja nala gor se is ki ghubar-e-'mir' bhi aashiq hai ne sawaron ka