suna hai ki un se mulaqat hogi

suna hai ki un se mulaqat hogi
agar ho gai to badi baat hogi

nigahon se sharh-e-hikayat hogi
zaban chup rahegi magar baat hogi

mere ashk jis shab ke daman mein honge
yaqinan wo taron bhari raat hogi

samajhti hai sham o sahar jis ko duniya
tere zulf o aariz ki khairaat hogi

na sawan hi barsa na bhadon hi barsa
bahut shor sunte the barsat hogi

mohabbat bahut be-maza hogi jis din
zaban be-niyaz-e-shikayat hogi

wahan qalb ki raushni sath degi
jahan din na hoga faqat raat hogi

'nazir' aao ro len gale mil ke hum tum
khuda jaane phir kab mulaqat hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close