suna rahe hain wo yun e'tibar ke qisse khizan ke daur mein jaise bahaar ke qisse kahenge hum bhi kabhi intizar ke qisse tumhaara pyar shajar aur pyar ke qisse udas lahje mein kuchh sher hain jo rumani unhen samajhna ki sab hain udhaar ke qisse dilon ki tah mein sada ashk ubalte rahte hain har ek sahra mein hain aabshaar ke qisse ye soch kar hi inhen nazm kar liya main ne qarar denge dil-e-be-qarar ke qisse