sunaen hum koi qissa hamari dastan ka

sunaen hum koi qissa hamari dastan ka
mujhe qissa nahin banna tumhaari dastan ka

mahz do nam hon us se ziyaada kuchh nahin ho
mohabbat nam rakkhen hum hamari dastan ka

zamane ko laga ki khatm qissa ho gaya hai
magar ek marhala tha wo bhi apni dastan ka

qabile se jharoka dekhna mumkin nahin tha
naya mauzua mila hai ek purani dastan ka

sarasar wo hi likhna jo jiya hai sath hum ne
badalne se badal jae na mani dastan ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close