sunata hai koi bholi kahani mahakte mithe dariyaon ka pani yahan jangal the aabaadi se pahle suna hai main ne logon ki zabani yahan ek shahar tha shahr-e-nigaran na chhodi waqt ne is ki nishani main wo dil hun dabistan-e-alam ka jise roegi barson shadmani tahayyur ne use dekha hai akasr khirad kahti hai jis ko la-makani khayalon hi mein akasr baithe baithe basa leta hun ek duniya suhani hujum-e-nashsha-e-fikr-e-sukhan mein badal jate hain lafzon ke maani bata ai zulmat-e-sahra-e-imkan kahan hoga mere khwabon ka sani andheri sham ke pardon mein chhup kar kise roti hai chashmon ki rawani kiran pariyan utarti hain kahan se kahan jate hain riste kahkashani pahadon se chali phir koi aandhi ude jate hain auraq-e-khizani nai duniya ke hangamon mein 'nasir' dabi jati hain aawazen purani