sune hi rahe hijr ke sahra use kahna sukhe na kabhi pyar ke dariya use kahna barbaad kiya hum ko teri kam-nazari ne yun hote na warna kabhi ruswa use kahna ek hashr bapa kar ke sar-e-sham safar mein phir tu ne mera haal na puchha use kahna jis hashr ke dar se wo juda mujh se hua tha wo hashr to phir bhi hua barpa use kahna ek khwab sa dekha tha to main kanp utha tha phir main ne koi khwab na dekha use kahna