sunen bahaar ki rangin-bayaniyan kya kya kahin tabassum-e-gul ne kahaniyan kya kya daya jawab na kuchh muskura ke rah gae phul zaban-e-khar ne kin bad-zabaniyan kya kya badha na naqa-e-laila baghair nala-e-qais hunar dikhati rahin sarbaniyan kya kya mizaj-e-sang na pighla ki tha na soz-e-kalim asa patakti rahin qahar-maniyan kya kya zaban-e-aql pe kuchh hai zaban-e-ishq pe kuchh tere sukut se niklin kahaniyan kya kya na deta husn agar dil ko ishq ka shoala khud apni aag mein jaltin jawaniyan kya kya mizaj-e-ishq ne pakda na e'tibar ka rang sharik-e-wahm rahin khush-gumaniyan kya kya jaras bhi chup raha tuti na karwan ki bhi nind sukut-e-dasht ne kin nauha-khwaniyan kya kya pukarti hai 'raza' gard-e-karwan lekin bani hain bar-e-safar sargiraniyan kya kya