suno khamosh hi hasti meri tum se juda hogi ki ab har ek fariyaad-e-inayat be-nawa hogi kisi fard-e-mohabbat se bhala ummid kya rakhna mohabbat bewafa thi bewafa hai bewafa hogi purane kaghazon pe darj meri shairi shayad kisi majruh dil ke zakhm ki mail rida hogi karoge zulm kab tak mashwara hai baz aa jao bahut pachhtaoge tum zulm ki gar intiha hogi tajassus chhod de tum qais-o-laila si mohabbat ka ki daur-e-nau ki har tamsil-e-ulfat bewafa hogi