suno ujda makan ek bad-dua hai sada andar sada andar sada hai khizan ek gham-zada bimar aurat hawa ne chhin li jis ki rida hai sitara jal-bujha mukhtar tha wo diya majbur tha jalta raha hai sar-e-mizhgan ubhar aana tha jis ko kahan wo mehrban tara gaya hai ugi hain chaar su baaten hi baaten ajab si har taraf aawaz-e-pa hai hawa us ko uda le ja kahin tu ye baadal apne par phaila raha hai hai uryani to aadat chandni ki andhera be-sabab sharma raha hai sitaron aur shararon mein thani hai mohabbat ki magar ye bhi ada hai ye kaisi aankh thi jo ro padi hai ye kaisa khwab tha jo bujh gaya hai hawa ab chal padi hai teri jaanib hawa ko baadban ras aa gaya hai jo dil mein phans thi so rah gai hai yahan warna sabhi kuchh ho gaya hai